Posts

Showing posts from March, 2019

Rang

Tere rangon ka rang agar hota mere rangon sa Sunn pata me wo baat jo tera dil mujhse kehna chahta Har wo gami ka aalam badal jata hai jab khushi dil se aati hai Ab to bheedh me bhi tanhai ki awaaz aati hai Bhool jaye wo raste jo hai tere mere Door talak bas manjil ek rahe Khel jo mene bachpan me khele, Tune bhi wahi khele bus naam aur jagah thi alag, Jab gire to roye hum dono the,  aansoon bhi the aur dard bhi, Par rukhe nahin, josh that us pal alag, Ab ban gaye us rang se jiska ko na farak Fike se rang se ghul ke mit jayenge Esse sapne na mene dekhe n tune dikhaye Us gali kab jayenge, jahan khule rehte the darwaze aur aati thi zindagi awaaze Ab to shor hai aur dhuyen ka rang kala. Apni tasveer me kuch rang chaiyen, Kuch badlati nazar ki zarurat hai, Tabhi to safed kagaz ji uthe ga, Sunayega ka kisse kahaniyaan kayi, Kuch puraani kuch nayi. Mere rango me tere rango ki zarurat hai, bus do pal saath chalne ki zarurat hai.