Rang
Tere rangon ka rang agar hota mere rangon sa
Sunn pata me wo baat jo tera dil mujhse kehna chahta
Har wo gami ka aalam badal jata hai jab khushi dil se aati hai
Ab to bheedh me bhi tanhai ki awaaz aati hai
Bhool jaye wo raste jo hai tere mere
Door talak bas manjil ek rahe
Khel jo mene bachpan me khele,
Tune bhi wahi khele bus naam aur jagah thi alag,
Jab gire to roye hum dono the,
aansoon bhi the aur dard bhi,
Par rukhe nahin, josh that us pal alag,
Ab ban gaye us rang se jiska ko na farak
Fike se rang se ghul ke mit jayenge
Esse sapne na mene dekhe n tune dikhaye
Us gali kab jayenge, jahan khule rehte the darwaze aur aati thi zindagi awaaze
Ab to shor hai aur dhuyen ka rang kala.
Apni tasveer me kuch rang chaiyen,
Kuch badlati nazar ki zarurat hai,
Tabhi to safed kagaz ji uthe ga,
Sunayega ka kisse kahaniyaan kayi,
Kuch puraani kuch nayi.
Mere rango me tere rango ki zarurat hai,
bus do pal saath chalne ki zarurat hai.
Comments
Post a Comment